Thursday 20 November 2014

Urdu Poetry Msgs Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Urdu Poetry Msgs Biography

Selma Lagerlof duniya e adab ki wo pheli khatoon thein jihon ne Nobel Prize hasil karne ka giran qadar izaz hasil kiya. Na sirf ye balke apne mulk ki taraf se bhi Nobel Prize hasil karne wali pheli fard hone ka izaz bhi unhi ke hisse mein aaya. Selma Lagerlof 1858 mein Sweden ke shehar Marocco mein paida hoein. Taleem mukamal karne ke baad unhon ne tadris ko apna pasha banaya aur 1885 se 1895 tak is shube se munsalik rahein. 1891 mein aap ka phela novel “story of gosta berling” shaya hote hi aap ko adbi duniya mein aik munfarid muqam hasil ho gaya. 1894 mein shaya hone wale afsanwi majmoye “noise able links” ne un ki shurat par muhar e tasdeq sabit kar di aur unhen mulk ke tol o arz mein aik munfarid aur sahib e tarz adiba ke tor par jana jane laga.
Tadris ka shuba chorne ke bad aap ne likhne ko apna mustakil zariya e mash banaya aur kai novel aur afsanwi majmoye likhe. Aap ka daira e tehrir sirf baron tak hi mehdod na tha balke bachon ke leye bhi aap ne bohat si kahaniyan likhein. Mutazakira sadar ke elawa aap ki mashor kitabon mein mirical of anti Craist, wonderful adventure of nil, girl form the marshal craft, yoroshilum and home studded shamil hain. Is ke elawa aap ne apni sawanah umri par mabni teen kitabein marbaka, memories of my childhood aur dairy of Selma Lagerloflik hein. Aap ki aalmi khidmat ka har satah par eteraf kiya gaya. 1909 mein Selma Lagerlof ko adab ka Nobel Prize mila aur 1914 mein Swedish academy ne aap ko apna rukun muntakhib kiya. Selma Lagerlof bayak waqat mahir e taleem, Novel nigar, kahani kar, shayar, sawanah nigar, khud nosht nigar aur drama nigar thein. Selma Lagerlof se phele Swedish adab mein romaniyat ka dor dora tha. Aap ne mulki adab ko nai jahton se roshanas karaya. Selma Lagerlof ke novel aur kahaniyon ke mutarajim duniya ki kai zabanon mein ho chuke hain.
Urdu ke mashor afsana nigar Khwaja Ahmed Abbas ka afsana “Ababeel” Selma Lagerlof hi ki aik kahani se makhoz hai. Selma Lagerlofne apne mulk ki lok kahaniyon ko aik naye andaz aur mufarid tanazur mein pesh karne ki tarz dali. Selma Lagerlof ka tarz e tehrir behad marsa aur dil nasheen tha. Selma Lagerlof ke andaz e tehrir par Scotland ke musanif aue tarikh nigar Thomas Carlyle ka asar nazar aata hai. Selma Lagerlof ki tehrir aik fitri tazgi leye howae hai jo parhne wale par nehayat khushgawar tasur chorti hai. Selma Lagerlof ka inteqal 16th March 1940 ko howa lekin apne kaam ki badolat aap ka naam aaj tak zindah hai.

Urdu Poetry Msgs
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

No comments:

Post a Comment