Thursday 20 November 2014

Images Urdu Poetry Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Images Urdu Poetry Biography

Ahmed Shah Bukhari Patras 1 October 1898 mein Peshawar mein peyda hue. Aap ke walid Syed Asad Ullah Shah Peshawar mein aik Lawyer ke munshi the. Ibtedai taleem Peshawar mein hasil ki aur us ke bad Government College Lahore mein dakhil hue aur aezazi Numbers ke sath MA paas kiya. Talib-e-Ilmi ke zamane mein unhe sheyr-o-adab se gehri dilchaspi thi. Government College Lahore ke Magazine ( Ravi ) ke editor bhi rahe. MA karne ke bad aap Englistan chale gaey aur Cambridge University se Angrezi Adab mein degree hasil ki. Wahan ke Teachers ki raey thi ke Bukhari ka ilm is qadar farakh aur wasee-o-baseet hai ke aik Angrez ke liye bhi itna ilm is umar mein rakhna kam-o-besh na mumkin hai.

Pakistan wapis aane par Central training College aur phir Government Collge mein angrezi adbiyat ke professor rahe. 1937 mein All India ka department qaiym hua to Bukhari ki khidmat Mustaar li gae. Aur wo 7 baras tak bataur director munsalik rahe.Qeyam-e-pakistan ke bad aap Lahore aa gae aur Government College Lahore ke principal muqarrar hue. 1950 mein aap ko Aqwam-e-Mutehda mein Pakistan ka mustaqil numaiynda bana kar bheja gaya. Is auhdey par 1954 tak faiyz rahe. 1955 mein Aqwam-e-Mutehda ke shoaba ittelaat mein Deputy Secretary General muntakhib hue. Aap December 1957 mein retire hone wale the aur Columbia University mein Professor qabol kar chuke the. Magar maut ne mohlat na di aur 5 December 1958 ko subha Newyork mein harkat-e-qalb band ho gai. Maut ke 45 baras bad marhoom ko hukoomat Pakistan ne hilal imtiyaz ke aezaaz se nawaza.

Der ayad durust ayad ke misdaq agarcha is aezaaz ko ilmi-o-adbi halqon mein khush aamdeed kaha gaya, lekin haqeeqat yeh hai ke Patras ki shakhsiyat aise aezazaat se mawraa thi. Yeh fakhar to khud hilal-e-imtiaz ko hona chahiye ke use Patras jaisi azeem shakhsiyat ke seeney par sajne ka mauqa mila. Patras Bokhari sahi maeyno mein aik hama geer shakhsiyat the. Who beyk waqt aik mazah nigar, aik ba-zameer sahafi, aala mahir-e-taleem, umdah mutarajjim, zeerak naqad, qabil broadcaster aur aik manjhe hue safaratkaar the. In ki peydaish Peshawar ke aik ilmi gharane mein hui. Urdu, Persian aur English par unhe school he ke zamane mein khasi dastaras hasil ho gai thi. 

Images Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

No comments:

Post a Comment