Friday 21 November 2014

Urdu Poetry Images Pictures Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Urdu Poetry Images Pictures Biography

Pakistan ke qaumi tarane ke khaliq Abu Al Asar Hafeez Jullundhuri 14 january 1900 mein jalandhar India mein paida hue. Ibtedai taleem jalandhar he main paye. 1947 mein app India se hijrat kar ke Lahore aye. Hafeez Jalandhari ki pehli shadi unki cousin Zeenat Begum se 1917 mein huye. Zeenat Begum 1954 mein inteqal kar gayein. Hafeez Jullandhuri qadir-ul-kalam shaiyr Maulana Ghulam Qadir Bilgirami ke shagird the. Jang-e-azeem doym ke zamane main ap ko fauj main publicity officer muqarrar kiya gaya. App tehreek e Pakistan ke sar garam rukun rahe. 1948 awaiyl mein ap ne Kashmir ki azaadi ke liye jari sargarmiyon main hissa liya. Qeyam-e-Pakistan ke bad ap afwaj-e-Pakistan mein director general of morals aur amoor-e-Kashmir ke nigran muqarrar hue. Hafee Jullandhury mein Pak, Bharat jung 1965 mein Pakistan ke liye kaye Milli Naghmay likhe.
Hafeez Jullandhuri shaiyr ki hesiyat se nazam aur ghazal dono par qadir thay. Khusoosan Urdu geet nigari mein Azmat ullah Khan ke bad dosra naam Hafeez Jullandhuri ka ata hai. Ap ke bachon ke geeton ke sath majmouy shaey hue. Ap ki sab se aeham tasneef “ Shahnama-e-Islam ” hai jo chaar jildon mein shaey hua. Is ke ilawa ap ki nazmon, geeton aur ghazlon ke majmou mein naghma zaar, sozosaaz, tulkhaba sheeren, haft-e-peykar aur chiyonti nama shamil hai.
Ap “ Hazar dastaan ” aur “ Mukhzin ” jaise adbi rasaiyl ke bhi mudeer rahe. Ap ki khidmat ke aeteraf mein hukoomat-e-Pakistan ki taraf se ap ko Hilal-e-Imtiaz aur Husn-e-Karkardgi ke sadarti award diya gaya. In ki shahkar tasneef “ Shahnama-e-Islam ” ne inhe maqbooliyat ki bulandi par pohncha diya. Ye Islam ki Nazmi tareekh ka ek record hai. In ki shaiyri amooman Romani, Mazhabi, Mili aur takhliqat-e-qudrat ke mauzoo par hai. In ki shaiyri mein bar-e-sagheer ke manazir ki tasveer hai aur in ki shiayri mein Hindi aur Urdu ki bohat khoobsurat aamesizh paai jati hai jo mushtarka riwayat ki tasveer hai.
Hafeez Jalandhari aik nihayat maqbool shaiyr the aur apne ashaar ke ilawa apni khush tabie ke liye bhi shohrat rakhte the. Wo sarhad ke dono atraf yaksan shohrat rakhte the. Patna, Bharat ke mashoor sahafi Rizwan Ahmed in ke bare mein likhte hai. Hafeez Jalandhari pakistan ke qaumi shaiyr the magar in ki maqbooliyat bharat mein bhi kam nahi thi. Taqseem mulk se qabal he wo apni adbi hesiyat manwa chuke hai.
Hafeez Jullandhuri ki shaiyri ki teesri khobi is ki ghanaiyat hai. Wo khud bhi mutarannum the, is liye inho na aesi lafziyat ka intekhab kiya jo ghanaiyat ke peykar par pore utarte hai. Inho ne dosri jang-e-azeem ke zamane mein fauji geet likhe the aur geet ko bhi inho ne nae peykar ata kiye. 

Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Urdu Poetry Images Pictures
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes


No comments:

Post a Comment