Thursday 20 November 2014

Famous Urdu Poetry Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Famous Urdu Poetry Biography

Nawa e waqat ke bani, tehreek e Pakistan ke sargaram karkun aur Pakistani sahafat ka sang e bunyad rakhne wale Hameed Nizami 3 October 1915 ke roz Sanghla Hill Zila Sheikhopura mein paida howae. Yahein se matric kiya, mazeed taleem ke leye Lahore aye aur phir yahi ke ho kar reh gaye. Islamiya College railway rode se B.A karne ke bad aap ne Punjab University se M.A English ki degree hasil ki. Doran e taleem un ka sab se bara karnama Punjab ke Muslim talba ki tanzeem hai.
Hameed Nizami ne Allama Iqbal ke mashware pr apne ahbab ke sath mil kar 1937 mein “Punjab Muslim Student Federation” ki bunyad rakhi aur is ke saddar muntakhib howae. 1942 mein dosri bar federation ke saddar muntakhib howae. Likhne likhane se Hameed Nizami ko shuru se hi dilchaspi thi. Matric ke baad hi Hameed Nizami ne urdu nazmein aur afsane likhne ka aghaz kar diya tha. Aap ki yehi salahiyat 1937 mein aap ko Islamia College ke magazine “crescent” ka naib mudeer banwane mein
madadgar sabit hoi. Ye fariza aap ne 1938 tak nibhaya. Jab qarardad e Pakistan manzoor hoi to un dinon Hameed Nizami ke halke phulke mazamin adbi jaraid “Humayon” “adbi duniya” aur “sheraza mein shaya ho rahe the.” Un ke likhe howae afsane aur qalmi khake adbi halkon mein aik khas shuhrat rakhte the lekin un ki manzil afsana aue khaka nigari na thi. Siyasat ke sath sath aap sahafat mein bhi dilchaspi rakhte the aur tehrik e Pakistan ke doran aap ne mehsos kiya ke Punjab Muslim League aur tehreek e Pakistan ko Taqwiyat phochane ke liye aik musar akhbar hona chaheye chunacha unhon ne March 1940 mein 15 roza Nawa e waqat jari kiya jo bad mein roz name ki sorat ikhteyar kar gaya. Nawa e waqt aur tehrik e Pakistan lazim o malzom ban gaye.
Hameed Nizami ke almana adariyon ne musalmanan e hind ko sahi fikri simt di. 1946 ke aam intekhabat mein Muslim Leaguei umeedwaron ke haq mein, aur bad izan Khirzar Hayat wazarat ke khilaf ihetejaji tehreek mein Hameed Nizami Marhom ne qayadat ka haq ada kiya. Purane waqton mein jab hukumat kisi khbar ki zamanat zabt karti to mali nusan awam ke chande se pora kiya jata, lekin 1947 mein Nawa e waqat ki dobara zamanat zabt hone par bhi Hameed Nizami ne chande ka kashkol uthana quomi gherat ke munafi tasawor kiya aur apne mali wasail se zar e zamanat dakhil karaya.
Qayam e Pakistan ke baad har hukumat ki ghalat policyon ko hadaf e tanqeed banate rehna un ke akhbar ki policy aur un ki zindagi ka maqsad thera aur wo intehai jurat aur bebaki se azadi e sahafat aur jamhuriyat ki jung larte rahe. Un ki haq goi o bebaki ki padash mein Nawa e waqat ko kai bar bandishon ka samna karna para magar un ke paye istaqlal mein larzish na ai.

Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Famous Urdu Poetry
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

No comments:

Post a Comment