Friday 21 November 2014

Sad Urdu Poetry Sms Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Sad Urdu Poetry Sms Biography

Urdu adab ke azeem Afsana Nigar, Khaka Nigar Saadat Hasan Manto ke walid Ghulam Hasan Manto Qaum aur zaat ke Kashmiri, Amritsar ke aik Muhalley Kocha Wakeelan mein aik barhe khandan ke sath rehte the. In ki pehli biwi Jaan BiBi se in ke 4 Ladke aur aik Ladki thi. Jaan BiBi ikhtelaal hawas ka shikar ho gai thin. Ghulam Hasan Manto ne Lahore mein Sardar Begum se dosri Shadi kar li thi. Dosri biwi se un ke do bache the. Iqbal Begum aur Saadat Hasan Manto. Manto ke walid in ki wiladat ke waqt Sub Judge ke auhdey par taiynaat the, unho ne qabal az waqt 1918 mein pension le lit hi. Unho ne 1930 mein Amritsar mein 76 baras ki umar mein wafat paai. Us waqt Minto ki umar 18 baras thi. Kaha jata hai ke Manto ke walid behad darasht mizaj aadmi the. Wo apne walid ki darshti se tang aa kar Bombay bhag gae the. Us waqt wo Matric ke talib-e-ilm the.
Manto ke walid ghaliban Ludhiyana ki kisi tehseel mein taienaat the.minto ke janne walon aur in ke dost aur sawaneh nigar Abu Saeed Qureshi ke mutabiq Manto bachpan he se aik shetan aur khalandra qisam ka he ladka tha. Jo apne doston ko chaunka dene ke liye gher mamooli shararten kiya karta. Dost inhe Tommy ke naam se pukarte the. Manto apne ghar mein aik saha hua bacha tha. Sauteley behan bhaiyon ki maujodgi aur walid ki sakhti ki wajah se apna aap zahir nahi klar sakta tha. In ki waldah in ki tarafdaar thi. In halaat ke peshenazar Manto apni shakhsiyat ka izhaar bahar gali kochon mein karta. Wo ibtedah he se taleem ki taraf maiyl nahi tha. Us ki ibtedaai taleem ghar mein he hui. 1921 mein use M.A.O. Middle School mein 4 jamat mein dakhil karaya gaya. Us ka taleemi career hausla afza nahi tha. Matric ke imtehan mein 3 martaba fail hone ke bad us ne 1931 mein yeh imtehan paas kiya tha. Us ke bad is ne Hindu Sabha College mein FA mein dakhla liya, lekin use chor kar Mano ne M.O. College mein saal Doyam mein dakhla le liya afsana nigari ke hawale se taraqqi pasand nazaryat ke hamil afsane huru mein likhe, bad mein unho ne insane nafsiyat ko apna muzoo banaya. Pakistan banne ke bad inhone behtreen afsaney takhleeq kiye. Jin mein Toba Tek Singh, Khol Do, Thanda Gosht, Dhuaan, Boo ( Odour ) shamil hain. In ke kae afsanwi majmooey, Khakey aur dramey shaey ho chuke hain.
Peshawarana taur par aap ne mukhtalif akhbarat aur jaraiyd mein kaam kiya. January 1941 se July 1942 All India Radio mein bator Feature nigar wa drama Navees kaam kiya.1942 mein aap dobara Bombay aa gaey. Aur haft roza mussawir ki idarat ke ilawa Filmistan Limited aur Bombay mein kahani navees aur mukalma nigar ke tor par kaam karte rahe. January 1948 mein Pakistan aa gaey aur apne yaum-e-wafat tak qalam ki mazdoori karte rahe. Kasrat sharab noshi ki wajah se 18 January 1955 ke roz un ka inteqal hua.

Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Urdu Poetry Images Pictures Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Urdu Poetry Images Pictures Biography

Pakistan ke qaumi tarane ke khaliq Abu Al Asar Hafeez Jullundhuri 14 january 1900 mein jalandhar India mein paida hue. Ibtedai taleem jalandhar he main paye. 1947 mein app India se hijrat kar ke Lahore aye. Hafeez Jalandhari ki pehli shadi unki cousin Zeenat Begum se 1917 mein huye. Zeenat Begum 1954 mein inteqal kar gayein. Hafeez Jullandhuri qadir-ul-kalam shaiyr Maulana Ghulam Qadir Bilgirami ke shagird the. Jang-e-azeem doym ke zamane main ap ko fauj main publicity officer muqarrar kiya gaya. App tehreek e Pakistan ke sar garam rukun rahe. 1948 awaiyl mein ap ne Kashmir ki azaadi ke liye jari sargarmiyon main hissa liya. Qeyam-e-Pakistan ke bad ap afwaj-e-Pakistan mein director general of morals aur amoor-e-Kashmir ke nigran muqarrar hue. Hafee Jullandhury mein Pak, Bharat jung 1965 mein Pakistan ke liye kaye Milli Naghmay likhe.
Hafeez Jullandhuri shaiyr ki hesiyat se nazam aur ghazal dono par qadir thay. Khusoosan Urdu geet nigari mein Azmat ullah Khan ke bad dosra naam Hafeez Jullandhuri ka ata hai. Ap ke bachon ke geeton ke sath majmouy shaey hue. Ap ki sab se aeham tasneef “ Shahnama-e-Islam ” hai jo chaar jildon mein shaey hua. Is ke ilawa ap ki nazmon, geeton aur ghazlon ke majmou mein naghma zaar, sozosaaz, tulkhaba sheeren, haft-e-peykar aur chiyonti nama shamil hai.
Ap “ Hazar dastaan ” aur “ Mukhzin ” jaise adbi rasaiyl ke bhi mudeer rahe. Ap ki khidmat ke aeteraf mein hukoomat-e-Pakistan ki taraf se ap ko Hilal-e-Imtiaz aur Husn-e-Karkardgi ke sadarti award diya gaya. In ki shahkar tasneef “ Shahnama-e-Islam ” ne inhe maqbooliyat ki bulandi par pohncha diya. Ye Islam ki Nazmi tareekh ka ek record hai. In ki shaiyri amooman Romani, Mazhabi, Mili aur takhliqat-e-qudrat ke mauzoo par hai. In ki shaiyri mein bar-e-sagheer ke manazir ki tasveer hai aur in ki shiayri mein Hindi aur Urdu ki bohat khoobsurat aamesizh paai jati hai jo mushtarka riwayat ki tasveer hai.
Hafeez Jalandhari aik nihayat maqbool shaiyr the aur apne ashaar ke ilawa apni khush tabie ke liye bhi shohrat rakhte the. Wo sarhad ke dono atraf yaksan shohrat rakhte the. Patna, Bharat ke mashoor sahafi Rizwan Ahmed in ke bare mein likhte hai. Hafeez Jalandhari pakistan ke qaumi shaiyr the magar in ki maqbooliyat bharat mein bhi kam nahi thi. Taqseem mulk se qabal he wo apni adbi hesiyat manwa chuke hai.
Hafeez Jullandhuri ki shaiyri ki teesri khobi is ki ghanaiyat hai. Wo khud bhi mutarannum the, is liye inho na aesi lafziyat ka intekhab kiya jo ghanaiyat ke peykar par pore utarte hai. Inho ne dosri jang-e-azeem ke zamane mein fauji geet likhe the aur geet ko bhi inho ne nae peykar ata kiye. 

Urdu Poetry Images Pictures

Wasi Shah Urdu Poetry Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Wasi Shah Urdu Poetry Biography

Wasi Shah is young romantic poet from Punjab Pakistan. He is well known famous and most favorite of teens college girls all age of guys and all teacher professor well educated persons. He is very great and well mannered person. Wasi Shah Poetry is truely loved by Urdu readers all over the world. Wasi Shah has written so many poetry books some of them include Mere Ho Ke Raho and Malangni. Here is some collection of Wasi Shah Poetry.
Wasi Shah Poetry
Dayar-e-gair mein kaise Tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to Tujhe ganwa dete
Tumhin ne hum ko sunaya na Apna dukh warnaDua wo karte khum Asman hila dete
Hamein ye zom raha ab k wo Pukarenge
Unhen ye zid thi k Har bar hum sada dete
Wo tera gham tha k tasir mere lahje ki
K jis ko Hal sunate use rula dete
Tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kya Bhula det
Tumhari yad ne koi Jawab hi na diya
Mere khayal k Ansu rahe sada dete
Samton ko main ta-umr kosta Syed

Wo kuch na kahte magar Honth to hila dete

Wasi Shah Urdu Poetry

Urdu Poetry Ghazal Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Urdu Poetry Ghazal Biography

Pakistan ki adbi tareekh mein jasoosi adab ke wahid saqa aur mutabar musannif ibn-e-safi muttehda Hindustan ke shehar Illahbad (Uttar Pardesh) mein 26 july 1928 ko paida hue. In ka asal naam Israr Ahmed tha. BA ki degree aap ne Aagra University se hasil ki. Inho ne apne likhna ka aaghaz 1940 mein afsane aur tanz-o-mazah likhne se kiya aur narvi takhallus ikhteyar kiya. Phir inho ne 1950 main novel nigari shuru ki. Us waqt wo secondary school teacher ki hesiyat se kaam kar rahe the. Azaadi se pehle aur bad main apni huriyat pasand tabiyat ke baiys hukoomat ki nazron mein aa chuke the. Is liye 1952 main aap Karachi muntaqil ho gae.
Ibn-e-Safi ne jasoosi novel nigari kisi sahab ke is dawey kw bad ki thi ke bar-e-saghir mein jasoosi novel sirf fahesh nigari ki wajah se maqbool hai. Inho ne use ghalat sabit karne ke liye pehle jasoosi dunya aur phir Imran series shuru ki. Ibne Safi ke baqol, in ke sirf 8 novelon ke markazi khayal kisi aur se mustaar liye hai, baqi ke 245 novel mukammal tor par in ke apne hai. 1960 se 1963 tak aap aik zehni bemari shez-o-fareniya ke mareez rahe. Lekin 1963 main he is marz se na sirf sanbhala liya bal ke Imran series ka behtreen novel derh matwale bhi likha.
26 July 1980 ko ( yani apni salgirah ke din ) wo is jahan se rukhsat ho gae. Wajah inteqal mauzi marz Cancer tha. Janab Ibn-e-Safi bilashuba Urdu ke sab se barhe jasoosi novel nigar hai aur in ki tehreeron mein aesa jadoo hai ke 50 saal likhe gae novel jab aaj ke daur ka bhi insaan parhta hai to wo sab bhool jata hai. Ibn-e-Safi ka lagaya hua pauda Imran series is qadar tanawar hua ke aaj tak yah samarbaar hai aur kae aik musannifeen is silsile ko aage barha rahe hai.
Professor Dr. Syed Muhammad Abu Alkhair Kashfi ne Ibn-e-Safi ko yun khiraj-e-tehseen pesh kiya. “ Maine ne kabhi Ibn-e-Safi ke novelon ko kitabon ke darmiyan chupa kar nahi rakha. Hamare intellectual ise aik sub standard mawad gardantey hai, lekin un mein se koi bhi Ibn-e-Safi ke takhleeqi zehan ka muqabla nahi kar sakta. Koi mujh se pochta hai ke aap Ibn-e-Safi ke novel kyun parhte hai to main jawab deta hoon, kyun ke Ibn-e-Safi hamare kae novel nigaron se behtar zuban likhte hai.” Jab Muhammad Hasan Askari ne ye shikayat ki ke Urdu nasar ka fun zawal pazeer hai aur koi achi zuban nahi likh raha to main ne unhe Ibn-e-Safi ki jasoosi Dunya ka aik novel parhne ko diya, is ke bad wo har maah pochte the. “ Kashfi Sahab Ibn-e-Safi ka naya novel aa gaya? ”

Urdu Poetry Ghazal

Thursday 20 November 2014

Urdu Poetry Faraz Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes

Source:- Google.com.pk

Urdu Poetry Faraz Biography

4 January 1931 ko Kohat mein peyda hone wale Ahmed Faraz ne Edward College Peshawar mein taleem hasil karne ke dauran Radio Pakistan ke liye feature likhna shuru kiye. Jab in ka pehla sheyri majmoaa “Tanha Tanha” shaey hua to Ahmed Faraz BA mein zeyr e taleem the. Bad azaa unho ne Urdu mein MA kiya. Wo taleem ki takmeel ke bad Radio se alehda ho gaey aur University mein Lecturer ship ikhteyar kar li. Isi mulazmat ke dauran in ka dosra mamoaa “Dard e Aashoob” shaey hua. Jis par writer Guilds ki janib se unhe Adam Jee adbi award mila. University ki mulazmat ke bad Pakistan National Centre Peshawar ke director muqarrar hue. Unhe 1976 mein akadmi adbiyat ka pehla sarbarah banaya gaya. General Zia ul Haq ke daur mein unhe majboran jilawatni bhi ikhteyar karni parhi. Ahmed Faraz ne 1988 mein Adam Jee Adbi award aur 1990 mein Abaseen Award hasil kiya. Jab ke 1988 mein unhe Bharat mein firaq gorakh pori award se bhi nawaza gaya. Academy of Urdu Literature (Canada) ne unhe 1991 mein award diya. Next year 1992 mein Bharat mein Ahmed Faraz ko Tata award se bhi nawaza gaya.
Marhoom 2006 mein National Book Foundation ke sarbarah rahe. In ke kehna tha ke TV interview ki padaash mein unhe National Book Foundation ki mulazmat se farigh kar diya gaya. Unho ne mutadid mumalik ke tour kiye. Marhoom ka kalam Aligarh University aur Peshawar University ke nisaab mein shamil hai. Jama maliya Bharat mein in par PhD ka maqala likha gaya. Jis ka mauzoo Ahmed Faraz ki ghazal hai. Bhawalpur mein bhi Ahmed Faraz ke fun aur shakhsiyat ke unwaan se PhD ka maqala tehreer kiya gaya. In ki poetry ke English, Francis, Hindi, Rossi, German, Yogusalawi aur Punjabi zuban mein tarjumey ho chuke hain.
Ahmed Faraz jinho ne aik zamane mein Fauj mein mulazmat ki koshish ki thi. Unho ne apni poetry ke zamana urooj mein Fauj mein aamrana rawish aur is ke ziyasi kirdar ke khilaf sheyr kehne ke sabab kafi shohrat paai. Unho ne Zia ul Haq ke Marshal law ke daur ke khilaf nazmein likhi. Jinhe bohat shohrat mili. Mushaeyron mein kalam parhne par unhe Military Government ne harasat mein le liya. Jis ke bad Ahmed Faraz ko khud sakhta jilawatni bhi bardasht karna parhi. 2004 mein General retire Parvez Musharraf ke daur e sadarat mein Ahmed Faraz ko Hilal e Imtiaz se nawaza gaya . lekin Faraz ne 2 baras bad sarkari policies par aehtejaj karte hue yeh tamgha wapis kar diya. Ahmed Faraz ne kae poems likhi. Jinhe aalmi satah par saraha gaya. In ki ghazaliyat ko bhi bohat shohrat mili. Ahmed Faraz ki poetry par mabni in ke 14 majmoaey kalam shaey hue. In mein Tanha Tanha, Dard e Aashoob, Shab e Khoon, Nayafat, Mere Khuwab reza reza, Be awaz Gali Kochon mein, Nabina Shehar mein Aaiyna, Pas Andaaz Mausam, Sab Awazein meri Hain, Khuwab e Gul pareshan Hain, Modlak, Ghazal Bahana Karo, Jana Jana aur Ae Ishq Junoon Pesha shamil hain.
Marhoom ki kae ghazlon ko Mehdi Hasan, Madam Noor Jahan, Naheed Akhter, Mehnaz o deegar gulokaron ne gaya. Jinhe aalmi satah par shohrat hasil hui. Ahmed Faraz shadid alalat ke baiys 25 August ko is jahan faani se kooch kar gaey, magar in ki poetry ke naqoosh aaj bhi dilon mein maujood hain.

Urdu Poetry Faraz