Urdu Poetry In Urdu Biography
1930 ki dahai mein adbi safar shuro kerney waley Ahmed Nadeem Qasmi Shumal Magrabi Punjab ki wadi Soon Sekser ke gaon Khushab mein 20 November 1916 ko paida huye. Ahmed Nadeem Qasmi ka asal nam Ahmed Shah tha aur woh Awan baradri se taluq rakhtey they. Nadeem un ka takhlus tha.
Ahmed Nadeem Qasmi ne Atak (uss waqt campbellpur) mein ibtada e taleem hasil ki. Phir app ne 1930 1931 mein Government High School Sheikhupura mein dakhla liya aap ne Maulana Mohammed Ali Jauhar ke inteqal per aik noha likha jo Lahore ke roznama saisat mein shaya huwa unhon ne issi saal matric ka imtehan (Matric Exeminaton pass) kiya phir Bhawalpur ke Sadiq Egerton College mein dakhla kiya aur yehan se B.A pass kiya.
Ahmed Nadeem Qasmi iss waqt ke Badshahi masjid ke Imam Maulana Ghulam Murshid ke qaribi aziz they jo Ahmed Nadeem Qasmi Lahore laye aur unhien iss waqt ki shahar ki adbi shaksiyat Sufi Ghulam Mustafa Tabassum se motaraf karwaya. 1936 se 1938 ka arsa intehai gurbat aur tang dasti ka zamana tha lakin unhi dino Urdu ke kai maroof shaeron aur sahafyon se shanasai hasil hui Kirshan Chander aur Minto se dostana marasam paida huya.
Ahmed Nadeem Qasmi ki kahanyon ka pehla majmua “Chopaal” 1939 mein shae hua. Issi saal mahkama excise (excise department) mein inspector ke taur per bharti huye. Film “Dharam Patni” ke mokalme aur ganey unhon ne 1940 mein likhay lakin yeh film khabi mokammal na hosaki. 1942 mein nokri (job) se intehai bezar Ahmed Nadeem Qasmi istefa deker Imteiaz Ali Taj ke ashati adarey mieh shamil ho gae jahan unhien bachchon ke resalay “Phool” aur khawateen ke magzin “TahzeebNuswan” ki adarat ke faraiz sonpay gae who 1943 mein maroof jaeeday “Adab Latif” ke aditer baney.
“Adab Latif” mein Minto ki kahani “Boo” ki ashat ke bas unhien 1944 mein Moqadme ka samna kerna para unhon ne 1946 mein adab latif ki adarat chordi issi baras unka majmua kalam” Jalal o Jamal” shae hua iss se pehley app ka shari majmua Dharken” aur tarajum ka aik majmua shae ho chuka tha. Zila Sergodha mein un dino Uninest parti ka bara zor tha lakin Ahmed Nadeem Qasmi ne us ke moqabil Muslim leag ki tanzeem o tosi mein barh char ker hissa leya.
Issi baras Radio Pakistan Peshawar mein station director ke bahot israr per wahan Secretariat riter ke tor per molazim ho gae 1947 mein unhon ne Radio Pakistan Peshawar ke leyeh bahot se Qaumi nagme, Mili geet aur hub e watan ke mozu per fitchur aur darame tahreer ke aur tera aur chouda August ki darmiyani shab ko unhi ka oikha hua auwaleen Qaumi Nagma Radio Pakistan se nashar hua.
Urdu Poetry in Urdu
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Urdu Poetry in Urdu
No comments:
Post a Comment