Sad Urdu Poetry Sms Biography
Urdu adab ke azeem Afsana Nigar, Khaka Nigar Saadat Hasan Manto ke walid Ghulam Hasan Manto Qaum aur zaat ke Kashmiri, Amritsar ke aik Muhalley Kocha Wakeelan mein aik barhe khandan ke sath rehte the. In ki pehli biwi Jaan BiBi se in ke 4 Ladke aur aik Ladki thi. Jaan BiBi ikhtelaal hawas ka shikar ho gai thin. Ghulam Hasan Manto ne Lahore mein Sardar Begum se dosri Shadi kar li thi. Dosri biwi se un ke do bache the. Iqbal Begum aur Saadat Hasan Manto. Manto ke walid in ki wiladat ke waqt Sub Judge ke auhdey par taiynaat the, unho ne qabal az waqt 1918 mein pension le lit hi. Unho ne 1930 mein Amritsar mein 76 baras ki umar mein wafat paai. Us waqt Minto ki umar 18 baras thi. Kaha jata hai ke Manto ke walid behad darasht mizaj aadmi the. Wo apne walid ki darshti se tang aa kar Bombay bhag gae the. Us waqt wo Matric ke talib-e-ilm the.
Manto ke walid ghaliban Ludhiyana ki kisi tehseel mein taienaat the.minto ke janne walon aur in ke dost aur sawaneh nigar Abu Saeed Qureshi ke mutabiq Manto bachpan he se aik shetan aur khalandra qisam ka he ladka tha. Jo apne doston ko chaunka dene ke liye gher mamooli shararten kiya karta. Dost inhe Tommy ke naam se pukarte the. Manto apne ghar mein aik saha hua bacha tha. Sauteley behan bhaiyon ki maujodgi aur walid ki sakhti ki wajah se apna aap zahir nahi klar sakta tha. In ki waldah in ki tarafdaar thi. In halaat ke peshenazar Manto apni shakhsiyat ka izhaar bahar gali kochon mein karta. Wo ibtedah he se taleem ki taraf maiyl nahi tha. Us ki ibtedaai taleem ghar mein he hui. 1921 mein use M.A.O. Middle School mein 4 jamat mein dakhil karaya gaya. Us ka taleemi career hausla afza nahi tha. Matric ke imtehan mein 3 martaba fail hone ke bad us ne 1931 mein yeh imtehan paas kiya tha. Us ke bad is ne Hindu Sabha College mein FA mein dakhla liya, lekin use chor kar Mano ne M.O. College mein saal Doyam mein dakhla le liya afsana nigari ke hawale se taraqqi pasand nazaryat ke hamil afsane huru mein likhe, bad mein unho ne insane nafsiyat ko apna muzoo banaya. Pakistan banne ke bad inhone behtreen afsaney takhleeq kiye. Jin mein Toba Tek Singh, Khol Do, Thanda Gosht, Dhuaan, Boo ( Odour ) shamil hain. In ke kae afsanwi majmooey, Khakey aur dramey shaey ho chuke hain.
Peshawarana taur par aap ne mukhtalif akhbarat aur jaraiyd mein kaam kiya. January 1941 se July 1942 All India Radio mein bator Feature nigar wa drama Navees kaam kiya.1942 mein aap dobara Bombay aa gaey. Aur haft roza mussawir ki idarat ke ilawa Filmistan Limited aur Bombay mein kahani navees aur mukalma nigar ke tor par kaam karte rahe. January 1948 mein Pakistan aa gaey aur apne yaum-e-wafat tak qalam ki mazdoori karte rahe. Kasrat sharab noshi ki wajah se 18 January 1955 ke roz un ka inteqal hua.
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes
Sad Urdu Poetry Sms
Urdu Poetry Images SMS Dosti Sad Love PIcs Wallpapes